a life...by rekha sachdev

Sadiyan beeti yaadon ke khazane khule,uski khwashion se dil ko dard ke zamane mile,rulata gaya woh aur roti gayi mein,mere aansoon ko uske diye dard ke fasane mile,uski bewafiyan kafi thi rishtey ko todane ke liye,uski bewafiyon ke baad bhi dil ko pyar karne ke kai bahane mile,umar bhar woh zakhm deta raha aur mein chup chap lete gai,taumar ki meri wafon ke siley itne suhane mile,jinhe padkar khud par hi naaz hone laga mujhe,apne hi haathon likhe aaj kuch aise afsane mile,jinme shabd nahi uska rota hua chehra nazar aata hai,khusbhu se bhare aaj kuch aise khat purane mile,jo bichad gaye mujhse bas char kadam saath chalkar,jaane kyun apne bankar kucha aise begane mile,jinki yaadon ke sahare umar kat gayi meri,itne pyare rishth anjane mein mile,pal pal saansein kisi deewane ko yaad karke jeeete hai,dil ko kisi ke jasbaat itne deewane mile.



































No comments:
Post a Comment