a poem by mannat..

Apne dard ko hum dil mein chupa kar rakhte hain
padh na le koi ankhein hamari,
Isliye hum nazre jara jhuka kar rakhte hain
Ho na jaye shuba kahi hamare gum ka,
Isliye unse ek doorie bana kar rakhte hainJ
antey hain k mera sochkar unhe bahut dukh hoga,
Isliye chehre pe ek jhooti hansi saja kar rakhte hain
Kash k lage unko k hum ache dost nahi ,
Isliye ruswayi ka daman tham kar rakhte hain
Zahir na ho jaye kahi lafzo mein ye gum ,
Isliye khamoshi bhi chehre per sambhal kar rakhte hain
Tanhayi mein to bahut rote hain
hum isliye mehfilo mein Aksar hum hansa karte hain.
Khuda ne jo kiya so acha kiya,
Ab to us se bhi yahi dua din-ratt kiya karte karte hain
E-khuda unko meri sari khushiya de dena jo chupke se,
MeRi khushiyon ki gujarish aapse kiya karte hain.
E-khuda tu unke gum bhi hume de de ,
Jo hamare liye der tak jaga karte hainE-khuda bus tu itna kar deE-khuda bus tu itna kar de...............................



































No comments:
Post a Comment